1/7
Rahat Indori Shayri- Bulati Hai Magar Jaane ka nai screenshot 0
Rahat Indori Shayri- Bulati Hai Magar Jaane ka nai screenshot 1
Rahat Indori Shayri- Bulati Hai Magar Jaane ka nai screenshot 2
Rahat Indori Shayri- Bulati Hai Magar Jaane ka nai screenshot 3
Rahat Indori Shayri- Bulati Hai Magar Jaane ka nai screenshot 4
Rahat Indori Shayri- Bulati Hai Magar Jaane ka nai screenshot 5
Rahat Indori Shayri- Bulati Hai Magar Jaane ka nai screenshot 6
Rahat Indori Shayri- Bulati Hai Magar Jaane ka nai Icon

Rahat Indori Shayri- Bulati Hai Magar Jaane ka nai

Delight Dev
Trustable Ranking IconPouzdano
1K+Preuzimanja
9.5MBVeličina
Android Version Icon5.1+
Android verzija
1.1(04-10-2020)Najnovija verzija
-
(0 Prikazi)
Age ratingPEGI-3
Preuzmite
DetaljiPrikaziVerzijeИнфо
1/7

Opis aplikacije Rahat Indori Shayri- Bulati Hai Magar Jaane ka nai

💖 Anybody who has an interest in Urdu or Hindi Poetry must know Dr Rahat Indori. He is famous for his Urdu Shayri, Ghazals and Poetry. He is a great Hindi Lyricists and has written hundreds of Hindi poetry in Hindi. Dr Rahat Indori was born on 1 January 1950 in Indore, Madhya Pradesh.


💖 Is App me aap urdu ke jane mane shayar Dr Rahat Indori ki mashoor shayari padhege. Yha aapko unke dwara likhi gai urdu shayari aur ghazal milegi jo unke chahne walon ne bahut pasand ki hai. Agar aap Indori saab ki shayari in Hindi padhna chahte hai to ye app aapke liye bilkul sahi sabit hogi.


💞💞💞💞💞💞💞💞💞


💖"Bulati hai magar jaane ka nai

Ye duniya hai idhar jaane ka nai


💖Mere bete kisi se ishq kar

Magar had se gujar jaane ka nai


💖Kushaada zarf hona chahiye

Chhalak jaane ka bhar jaane ka Nai


💖Sitare noch kar le jaaunga

Mein khali haath ghar jaane waala nai


💖Waba faili hui hai har taraf

Abhi maahaul mar jaane ka nai


💖Wo gardan naapta hai, naap le

Magar zaalim se dar jaane ka nai"


💞💞💞💞💞💞💞💞💞


💖Ye Dr sheb ki bahut hi mashoor shayri hai. Unki is Shayri in social media par dhoom machaai hai. Unki video viral hui hai. Tik-Tok par bhi bahut share hui hai. Is shayari par bahut jayada meme social media par viral huye hai. Bahut is logo ko to ye pta bhi nhi ki ye Dr Rahat Indori ki shayri ke lyrics hai.


💞💞Rahat Indori shayri- 2 Lines💞💞


💖Maine Apni Khushk Aankhon Se Lahoo Chalka Diya,

Ik Samandar Keh Raha Tha Mujhko Paani Chahiye.


💖Bahut Guroor Hai Dariya Ko Apne Hone Par,

Jo Meri Pyaas Se Uljhe Toh Dhajjiyan Ud Jayein.


💖Aate Jate Hain Kayi Rang Mere Chehre Par,

Log Lete Hain Mazaa Zikr Tumhara Kar Ke.


💞💞 Rahat Indori Shayri- 4 Lines 💞💞


💖Ab Na Main Hun, Na Baaki Hai Zamane Mere,

Fir Bhi MashHoor Hain Shaharon Mein Fasane Mere,

Zindagi Hai Toh Naye Zakhm Bhi Lag Jayenge,

Ab Bhi Baaki Hain Kayi Dost Puraane Mere.


💖Loo Bhi Chalti Thi Toh Baad-e-Shaba Kehte The,

Paanv Failaye Andheron Ko Diya Kehte The,

Unka Anjaam Tujhe Yaad Nahi Hai Shayad,

Aur Bhi Log The Jo Khud Ko Khuda Kehte The.


💖Haath Khali Hain Tere Shahar Se Jate Jate,

Jaan Hoti Toh Meri Jaan Lutate Jate,

Ab Toh Har Haath Ka Patthar Humein Pehchanta Hai,

Umr Gujri Hai Tere Shahar Mein Aate Jate.


💖Chehron Ke Liye Aayine Kurbaan Kiye Hain,

Iss Shauk Mein Apne Bade Nuksaan Kiye Hain,

Mehfil Mein Mujhe Gaaliyan Dekar Hai Bahut Khush,

Jis Shakhs Par Maine Bade Ehsaan Kiye Hain.


💖Teri Har Baat Mohabbat Mein Ganwara Karke,

Dil Ke Bajaar Mein Baithe Hain Khasaara Karke,

Main Woh Dariya Hun Ke Har Boond Bhanwar Hai Jiski,

Tumne Achha Hi Kiya Hai Mujhse Kinaara Karke.


💖Aankhon Mein Pani Rakho Hontho Pe Chingari Rakho,

Zinda Rahna Hai Toh Tarkeebein Bahut Saari Rakho,

Ek Hi Nadi Ke Hain Yeh Do Kinare Dosto,

Dostana Zindagi Se Maut Se Yaari Rakho.


💖Ajeeb Log Hain Meri Talash Mein Mujhko,

Wahan Par Dhoondh Rahe Hain Jahan Nahi Hun Main,

Main Aayino Se Toh Mayoos Laut Aaya Hun,

Magar Kisi Ne Bataya Bahut Haseen Hun Main.


💖Ajnabi Khwahishein Seene Mein Daba Bhi Na Sakun,

Aise Ziddi Hain Parinde Ke Uda Bhi Na Sakun,

Foonk Dalunga Kisi Roj Main Dil Ki Duniya,

Yeh Tera Khat To Nahi Ke Jala Bhi Na Sakun.


💖Haath Khali Hain Tere Shehar Se Jaate-Jaate,

Jaan Hoti Toh Meri Jaan Lutate Jaate,

Ab Toh Har Haath Ka Pathar Humein Pehchanta Hai,

Umar Gujri Hai Tere Shehar Mein Aate Jaate.


💞💞 Rahat Indori Shayri-Ghazals 💞💞

💖Tajalliyon ka naya daayra banaane mein;

Mere chiraag lage hain hawa banaane mein.


💖Ade the zid pe ke suraj banaake chhodenge;

Paseene chhoot gaye ek diya banaane mein.


💖Meri nigaah mein wo shakhs aadmi bhi nahi

Jise laga hai zamaana khuda banaane mein


💖Abhi inhein na parishaan karo masihaaon

Mareez uljhe hue hain dawa banaane mein


💖Tamaam umr mujhe dar-ba-dar jo karte rahe

Lage hue hain mera maqbara banaane mein


💖Ye chand log jo basti mein sabse achhe hain

Inhi ka haath hai mujhko bura banaane mein


Aise hi bahut saari shayri aapko is app par milegi.


Thank You.


Rahat Indori Shayri- Bulati Hai Magar Jaane ka nai - Verzija 1.1

(04-10-2020)
Druge verzije
Šta je novoJust Released

Trenutno nema komentara ili ocena! Da biste ostavili prvi komentar ili ocenu,

-
0 Reviews
5
4
3
2
1
Info Trust Icon
Garantovano dobra aplikacijaOva aplikacija je prošla bezbednosni test za viruse, zlonamerne programe i druge zlonamerne napade i ne sadrži nikakve pretnje.

Rahat Indori Shayri- Bulati Hai Magar Jaane ka nai - Informacije o APK datoteci

Verzija APK datoteke: 1.1Paket: com.rahat.indori.shayri
Kompatibilnost sa Android sistemom: 5.1+ (Lollipop)
Programer:Delight DevSmernice za privatnost:https://rahatindorishayri.blogspot.com/p/blog-page.htmlDozvole:28
Naziv: Rahat Indori Shayri- Bulati Hai Magar Jaane ka naiVeličina: 9.5 MBPreuzimanja: 0Verzija : 1.1Datum objavljivanja: 2021-06-17 17:55:19Najmanji ekran: SMALLPodržana CPJ:
ID paketa: com.rahat.indori.shayriSHA1 potpis: 3A:0F:C7:9A:B0:15:8D:3F:48:52:FB:60:03:92:2F:88:0D:76:D5:6BProgramer (CN): AndroidOrganizacija (O): Google Inc.Lokacija (L): Mountain ViewZemlja (C): USDržava/grad (ST): California

Poslednja verzija aplikacije Rahat Indori Shayri- Bulati Hai Magar Jaane ka nai

1.1Trust Icon Versions
4/10/2020
0 preuzimanja9.5 MB Veličina
Preuzmite